id ka mela

lo id aai lo do puliye maidan mein bhar bazar laga
har chahat ka saman hua har neamat ka ambar laga

sab ujla shahr umand aaya shalwar saja dastar laga
is bhid ke biphre tufan mein jo dub gaya so par laga

toli ke aage tola hai raili ke pichhe rela hai
yaro ye id ka mela hai

markaz rangin ranai ka chikna tambu halwai ka
zina zina zinat se dhara hai thaal pe thaal mithai ka

gardan unchi ras-gulle ki sar nicha hai baalai ka
halwai dam batorne mein sar mund raha hai nai ka

barfi imirti peda hai cham cham laddu gajrela hai
yaro ye id ka mela hai

dhundle tarpali mandwe mein natak nautanki aai hai
naubat naqqara sarangi dholak jhanjan shahnai hai

kal sola teddy paison mein kis dhum ki ras rachai hai
laila ke labon par surkhi hai majnun ke gale mein tie hai

ye hansne mein man mojan hai wo gane mein albela hai
yaro ye id ka mela hai

ek circus tedha-medha sa anjam to kya aaghaz nahin
us richh ke munh mein dant nahin is baz ki aankhen baz nahin

wo sher ki jis ki munchh to hai par jast nahin aawaz nahin
tota bhi khair se gunga hai shahin ko par-e-parwaz nahin

do bandar tin ke andar hain darbe mein murgh akela hai
yaro ye id ka mela hai

pagdandi jagmag mandi hai banson par tambu tane hain
kuchh nae nawele hotel hain kuchh restaurant purane hain

har dhang ke saste khane hain har rang ke filmi gane hain
kuchh chalte phirte chhote chhote gashti neamat-khane hain

tar halwa garm kadahi mein do lote hain ek thela hai
yaro ye id ka mela hai

kya kucha-o-dar kya koh-o-daman gul-barg hain sab gulnar hain sab
khushbu mein base gulzar hain sab rangon se bhare bazar hain sab

bachche to alhad bachche hain budhe bhi saba raftar hain sab
poshak mein chudi-dar hain aur aur khurak mein murgha-mar hain sab

har su khushiyon ka rela hai man mangla dil tarbela hai
yaro ye id ka mela hai

lo ek ji-dar bisati ne har chiz laga di chaar aane
kanghi japani chaar aane shisha baghdadi chaar aane

patli si chhatri ke niche momi shahzadi chaar aane
har gudiya pudiya baja khaja resham khadi chaar aane

bagule ki chonch mein machhli hai kele ke sath karaila hai
yaro ye id ka mela hai

bachche baale gabru budhe khush-waqt hue khush-haal hue
jhulon mein jhul ke phul bane footbaal bane bhaunchaal hue

barqi chakkar mein chakra kar chahke to khushi se lal hue
ek dhum dhadakki phere mein sab paise istimal hue

sundari ke kan mein mundri hai shauhar ki jeb mein dhela hai
yaro ye id ka mela hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close