kal yahan se main kahin dur chala jaunga teri masum nigahon se teri mahfil se raqs karti hui duniya se teri manzil se dur han dur tere naghma-e-saz-e-dil se ruh-e-nasrin-o-saman aur bhi ghamgin na ho kal yahan se main kahin dur chala jaunga main hun nadar to nadar ki gham-khwar na ban ek shama-e-tah-e-daman ki talabgar na ban tujh ko hanste hue gate hue lamhon ki qasam dekh kar meri taraf aur gunahgar na ban mere soe hue ehsas ko bedar na kar kal yahan se main kahin dur chala jaunga dil teri yaad se aabaad hai nashad sahi saz naghmon se jo khali hai to fariyaad sahi teri duniya rahe aabaad main barbaad sahi tere milne ka tasawwur na sahi yaad sahi ek nashad ko ab aur bhi nashad na kar kal yahan se main kahin dur chala jaunga bazm gul-ha-e-mohabbat se sajaana hai tujhe sim-o-zar ki nai duniya ko basana hai tujhe ghar ke hanste hue tufan se jaana hai tujhe zist ke saz par har rang mein gana hai tujhe is liye bar-e-gham-e-dosh se ranjur na ho kal yahan se main kahin dur chala jaunga