aachanak khud mein ye kaisi tabdiliyan mahsus kar raha hun main mere baal daraaz aur ghane ho gae hain main ab do chotiyan bandhne laga hun meri aankhen pahle se ziyaada makhmur ho gai hain wo ab dekhne ke bajae ziyaada rone lagi hain mere hont kohre ki thand ki tarah safed pad gae hain wo ab bolne ke bajae ziyaada kapkapane lage hain mera sina pahle sapat tha ab is par do uthanen uth aai hain dudh si koi shai is mein thathen marne lagi hai main pahle qamis aur paint pahanta tha ab main shalwar aur jampar pahanne laga hun lagta hai abhi gyarah september hi ko main ghusl-e-janabat se farigh hua hun aachanak achanak khud mein ye kaisi tabdiliyan mahsus kar raha hun main abhi abhi thodi der pahle mujhe ek zabardast qai hui thi dai aai thi us ne mera jampar utar ke meri kokh ke meri kokh par thanda thaar qabr sa hath rakh ke kaha tha mubarak ho tum man banne wale ho