ye tangna-e-qafas ye siyasat-e-sayyaad ye aab-o-gil ke talatum yeh wusat-e-barbaad ye tirgi ye dil-e-mehr-o-mah ki dhadkan ye aansuon ke sitare ye ismaton ke kafan ye bhigti hui palken ye tutte hue dil ye reg-zar-e-haqiqat ye parda-e-mahmil ye chikhti hui ruhen ye hasraton ke sanam ye bazm-e-kufr-o-yaqin ye jahan-e-dair-o-haram ye shor-e-hashr ye paikar-e-subha-o-zunnar ye jaan-gudaz fazaen ye ruh-soz bahaar ye aandhiyon ki qataren ye karwan-e-hayat na puchh kitne shagufe hain markaz-e-afat sawad-e-zist mein tufan aae hain kya kya charagh-e-sidq-o-safa jhilmilae hain kya kya ayagh chhut pade mai-kashon ke hathon se ayan dilon ki siyahi hai kitne hathon se nigal chuki shab-e-gham kin sahar-shikaron ko ki zalzalon ne jagaya hai fitna-zaron ko hayat marg-e-mohabbat pe nauha-khwan hai abhi wahi fasana-e-iflas jaan-sitan hai abhi udas-udas si raaten thake-thake se nujum ye abr-o-baad ki yurish ye bijliyon ka hujum ye tera bazm-e-jahan ye shikast-e-qalb-o-nazar mahal banae hain qaruniyon ne lashon par dilon pe yas ke hote rahe sitam kya kya karahte rahe zulfon ke pech-o-kham kya kya dayar-e-shauq mein gunje hain marsiye kitne bujha gai hai nasim-e-sahar diye kitne wahi sadaqat-o-ehsas ke janaze hain izar-e-gang-o-jaman par lahu ke ghaze hain wahi khuda hain wahi but wahi rasul abhi samanistan mein hain baqi khizan ke phul abhi chaman hazar sumum-e-khizan se khele hain magar hanuz wahi bebasi ke mele hain