dil-e-pazh-murda ko gulzar kar lun mohabbat ko gale ka haar kar lun jawani husn se sarshaar kar lun ijazat ho to tum ko pyar kar lun mujhe duniya ki daulat de raha hai ye paigham-e-masarrat de raha hai tumhaara husn dawat de raha hai ijazat ho to tum ko pyar kar lun tamannaon ke baadal chha rahe hain jawani ko meri tadpa rahe hain mere jazbaat umde aa rahe hain ijazat ho to tum ko pyar kar lun gulabi aankh mein dore pade hain papote bhi to bojhal ho rahe hain pata dil ka tumhaare de rahe hain ijazat ho to tum ko pyar kar lun hai meri jaan tishna dil hai pyasa mujhe dekhoge yun kab tak tadapta karam ab to karam mujh par khudara ijazat ho to tum ko pyar kar lun utha dije bas ab parda haya ka hai dil ka ye taqaze par taqaza zara si han se ban jaegi duniya ijazat ho to tum ko pyar kar lun tumhaare husn mein tabindagi hai sitaron jaisi is mein raushni hai kashish hai aur is mein dilkashi hai ijazat ho to tum ko pyar kar lun mili hai muddaton mein mujh ko khalwat bade arse mein jagi hai ye qismat bana do mere gham ko ab to rahat ijazat ho to tum ko pyar kar lun meri behad tabiat chahti hai hamesha ki ye daulat chahti hai tumhaari bas ijazat chahti hai ijazat ho to tum ko pyar kar lun tumhaara rup aafat dha raha hai ye ek arman banta ja raha hai mere pahlu mein dil lalcha raha hai ijazat ho to tum ko pyar kar lun mohabbat ne macha di dil mein halchal kiya hai zabt ne betab bekal bas ai ruh-e-rawan-e-shauq-e-'afzal' ijazat ho to tum ko pyar kar lun