ilm ek aisi daulat hai koi bant na is ko pae koi chhant na is ko pae har-su us ki dhak hai aisi koi dant na is ko pae ilm ek aisi daulat hai is se adna hota aala hota hai past is se baala chahe gora ho ya kala is se banta wo rakhwala ilm ek aisi daulat hai is se mat rahna tum khinche rakhta hai jo is ko bhenche aage wo sab is ke pichhe har unchai is ke niche ilm ek aisi daulat hai ilm hai khas inam-e-qudrat nahin hai is se badh kar neamat is se sari shan-o-shaukat is se azmat is se shohrat ilm ek aisi daulat hai is daulat ko pao bachcho aapas mein phailao bachcho uncha nam kamao bachcho sab ko ye batlao bachcho ilm badi ek daulat hai