raat ke kale badan pe sitare tankne ki mashq apni ruh par paiwand lagane jaisi mushkil nahin hoti aasman se latakti shakhon par mannaton ke dhage kab tak bandhe ja sakte hain bujhe hue koele aur gili lakdi chingari nahin pakadte soi hui sard mohabbat ne karwat badal li hai charagh le kar safar par nikalne wali titli ko chaudah din purane chand se kya gharaz bahti hui sadkon se apna rasta chun lena aur aawazon mein se apne hisse ki aawaz sun lena aasman ke bas mein kab hai us ke juzdan mein lipti sahife jaisi raat nazil ho gai hai sat suron mein bahta raat ka ye pahla pahar aur kin-min sa barasta tumhaara narm ehsas barish ke baen gal par rakha hua hai aag barish ki boli bol rahi hai september ki gyarahwin raat hai sadak ki silwaton par athkheliyan leti mohabbat ko barish ke pani se ba-wazu darakhton ne sajda kar liya hai