wo bashar jo padh ke bhi kahta ho yun ban ke talib aur kuchh hasil karun koi shak us ki fazilat mein nahin us ka rutba hai farishton se fuzun wo bashar kuchh bhi na aata ho jise lekin us ko shauq ho aalim banun apni be-ilmi ka us ko ilm hai na-munasib hai use jahil ginun wo bashar jo ho nira ahmaq magar khud samajhta ho ki danish-mand hun maut hai us ki himaqat ka ilaj wo rahega umr bhar khwar-o-zabun har bashar ai 'faiz' ye koshish kare jis tarah bhi ho jahaalat se bachun