har dam ilm sikhati hai aql ke raaz batati hai pyara nam kitab hai us ka malumat badhati hai koi bachcha ho ya budha sab ko yaksan bhati hai dada abba mol agar len pote ke kaam aati hai ghar baithe hi duniya bhar ki hum ko sair karaati hai agle waqton ke logon ka sara haal sunati hai is ki danai to dekho jo puchho samjhati hai jahil se jahil ko aakhir qabil shakhs banati hai har daftar ke har afsar ko ye parwan chadhati hai dil ki aankhen raushan karke haq ki rah dikhati hai padhne wale khush hote hain un ka ranj mitati hai tanhai mein hamdam ban kar 'faiz' hamein pahunchati hai