shan ki fikr hai na aan ki hai ab mujhe fikr imtihan ki hai padh raha hun kitab mehnat se hunga main kaamyab mehnat se first aana hai mujh ko ab ki bar kuchh dikhana hai mujh ko ab ki bar apni mehnat ki laj rakhni hai kal ki buniyaad aaj rakhni hai fauri kar lunga main agar mehnat imtihan se na hogi kuchh wahshat sal bhar main ne ki hai tayyari mujh pe kyon koi khauf ho tari kaam mushkil ka kar liya main ne koi uljhan nahin mere aage mujh ko ab sal-bhar ki mehnat ka samne rakhna hai bas ek khaka har sabaq ka shumar karna hai sab ko phir ek bar padhna hai kuchh jo bhula ho yaad ho jae kaam se dil bhi shad ho jae koi laghzish agar nahin hogi bhul bhi waqt par nahin hogi rafta rafta jo kaam hota hai us mein kuchh intizam hota hai koi uljhan na be-qarari hai phir bhi ek kaifiyat si tari hai us se fursat milegi dhyan ke baad chain aaega imtihan ke baad