hum ilm ke saudagar hain aur maktab mein tijarat karte hain sab karte hain tarif hamari dil mein hiqarat karte hain hum mein se kuchh aise bhi hain jo ilm se bilkul hain aari behtar rahta hote wo agar kisi aur hi chiz ke byopari aise bhi hain jo auron ki tarah chizon mein milawat karte hain jo ilm ki chori karte hain wo jhuti sajawat karte hain kuchh aise bad-qismat bhi hain jo mal to achchha rakhte hain aur bech nahin sakte is ko ismat ki tarah bazaron mein tashhir ke raaz se na-waqif ye sada-dil be-nam bhi hain aur jis ko ghurur-e-fan kahte hain us se kuchh bad-nam bhi hain hai un ke nasib mein farhadi aur hai shirin auron ke liye kanton ka taj hai un ke liye tauq-e-zarrin auron ke liye