lafz taswiren banate tere honton se uthe the lekin dekhte dekhte tahlil hue un ki hiddat meri rag rag mein rawan thi so rahi phir tere hathon ka lams aise mulaem alfaz teri aankhon ki chamak raushan o mubham alfaz aur wo lafz jo lafzon mein nihan rahte hain aur wo lafz ki izhaar ke muhtaj nahin phir bhi hain un ke liye gosh-bar-awaz sabhi un ke hamraaz sabhi sab sune main ne magar aakhir-e-kar sabhi tahlil hue lafz phir rup badal kar mere dil mein larze shauq-e-izhaar mein be-tab hue lafz izhaar mein surat hi badal lete hain jaane kya baat thi kya samjhe log har koi apne hi lafzon mein magan har koi apne hi ras-rang mein gum har koi apne hi aahang mein gum aur phir lafz ki rahte hain gurezan khud se kaun sunta hai unhen? kaun samajhta hai unhen? jaane kya baat thi kya tu ne suni apne izhaar pe nadim tha pasheman tha main apni hi baat pe hairan tha main phir meri baat bhi tahlil hui jaise tu bhul gai jaise jahan bhul gaya aur ab main hun wo ek lafz-e-gharib koi puchhe bhi to chup rahta hun