sunne walon ko dhadakti hui tanhai mein kaun dar aata hai chupke se tamanna ban kar kis ki aawaz hawaon ki subuk lahron par raqs karti nazar aati hai tamasha ban kar kaun lafzon ko ata karta hai taswir ka husn kaun dil mein utar aata hai masiha ban kar kis ki dhadkan mein hai kirdaron ke dil ki dhadkan kaun ubhar aata hai mahtab ka haala ban kar kitne zehnon ke ufuq kitne dilon ke aflak tirgi mein bhi farozan hain ujala ban kar kitne an-jaanon ki taskin-e-samaat ke liye apni aawaz ke jadu se ye ras gholte hain sarsaraate hue lamhon ki subuk-raftari kah rahi hai ki ye tufanon mein par taulte hain koi bhi rup ho bahrup badal kar ye log pech-dar-pech fasanon ki girah kholte hain wo shanshah ho ki daryuza-gar-e-rah-e-hayat apne kirdar ke ausaf liye