kya koi khabar aae zindagi ke tarkash mein jitne tir baqi the meri be-dhyani se dil ki khush-gumani se saz baz karte hi ruh mein utar aae dhund itni gahri hai kuchh pata nahin chalta khwab ke taaqub mein kaun se zamanon se kitne aasmanon se hum guzar ke ghar aae fasl-e-gul ki baaten bhi ab kahan rahen mumkin umr ki kahani mein aisi be-zamini mein aisi la-makani mein sirf itna mumkin hai dhadkanon ki ginti mein agla mod mudte hi aakhiri safar aae