wo lahn jo sadiyon sadiyon tak insan ke dil ki dhadkan tha us lahn ka jadu tut gaya firdaus ke naghme khwab-e-alast uqba ki kahani naqsh-e-kuhan kohsar pe baadal sargardan aflak ke qaidi shams-o-qamar tarikh nawa-e-parina mazhab ki riwayat farsuda akhlaq ki qadren chakna-chur tahzib ke mandir bosida fitrat ka sahaara kya chhuta har rishta-e-mazi chhut gaya sunsan guzargahon par ab maut ka damru bajta hai dharti ka musafir be-chaara hairan-o-pareshan sehr-zada manzil ki talab mein aawara sajde ke liye patthar bhi nahin aansu ke liye daman to kuja jine ke liye lazim hai use kuchh taza junun takhliq kare taskin-e-jigar pane ke liye rishton ki nai tamir kare jis ped ka phal khaya tha kabhi us phal ke dam chukana hai go hath mein hai ab lauh-o-qalam tahrir ka fan apnana hai abwab-e-kitab-e-hasti ko tashkil ka maqsad pana hai