ishq ko ek nazar kafi hai aagahi pahle se darkar nahin dosti barson ki ham-raazi hai jaldi-bazi ka ye bazar nahin ho bhi sakti hai kabhi wo haalat go ho muddat ka khulus aur niyaz ek lamha mein banati hai jo gat pyari surat kabhi pyari aawaz ghaur-o-fikr is ke sada hain ham-dast milne-julne se hai paida hoti garm-joshi ki hai mai se sarmast dosti hai meri dekhi bhaali aql ke us mein karishme dekho kuchh bigadti hai kuchh ithlati hai jab pahunch jati hai us ki tah ko tab ba-sad fakhr ye samjhati hai na sune aur na hargiz dekhe doston mein ho agar aib bhi aah chahiye yun nazar-andaz kare ki hawa bhi nahin goya aagah ishq mein us ki kahan hai mohlat kuchh bhi soche sune dekhe bhaale kya bhala samjhen wo us ki haalat us ki mai se jo na hun matwale us ke asrar se ho kaun aagah be-qarari kabhi mahwiyyat hai khub 'rasikh' ne kaha hai wallah ishq ek zor hai kaifiyyat hai