ek murda tha jise main khud akela apne kandhon par uthae aaj aakhir dafn kar ke aa gaya hun bojh bhaari tha magar apni rihai ke liye behad zaruri tha ki apne-ap hi us ko uthaun aur ghar se dur ja kar dafn kar dun ye haqiqat thi ki koi wahima tha par ye badbu-dar lasha sirf mujh ko hi nazar aata tha, jaise ek nadida chhalawa ho mere pichhe laga ho mere kumbe ke sabhi afrad us ki har jagah maujudgi se be-khabar the sirf main hi tha jise ye tiktiki bandhe hue be-nur aankhon se hamesha ghurta tha aaj jab main apne mazi ka ye murda dafn kar ke aa gaya hun kyun ye lagta hai ki mera haal bhi jaise tadapta lamha lamha mar raha ho aur mustaqbil mein jab ye haal bhi mazi banega mujh ko phir ek bar is murde ko kandhon par uthae dafn karne ke liye jaana padega