ghar mein dakhil hote hi hum khud ko aawazen dene lagte hain aur kapdon se bhara shopping bag phenk dete hain bed ke niche rakhte hain apne jute sofe par aur almari ke daraaz se kachche amrud nikal kar bed-sheet se ragadte hain aur katarne lagte hain chaar din purane biscuit jab bhi nazar padti hai aaine pe khud ko galiyan dete hain tv se ton ton ki aawaz aane par remote ke sat tukde kar ke billi ke aage dal dete hain credit khatm ho jaane par cell-phone pe shirin lahje wali doshiza ko khari khari sunate hain aur freeze ke nichle darwaze ko zor se band kar ke khali owen mein so jate hain