saba-e-sahra

be-dagh wusaton ki aahu-e-be-bak
tere ek hi mushk-bez jhonke ne

yaadon ke dariche khol diye hain
jhulasti dopahron mein

ghane pipal ki chhanw mein
jhula jhulti ham-joliyan

khush-gulu chadhe ki aawaz mein
reg-zaron ke git

kun ras hue jate hain
barsat ki aabnusi raat ka manzar

khule aasman tale ban ki thandi chaarpai par
chadar tan kar

dhule taron ki jhilmilahat
did-ras hui jati hai

sawan rut mein gili sondhi matki mahkar
chadhi nahron ki saloni sawani thi mushk-bar

subhan teri qudrat ki
sadaen bhi ajab thin

dal dal ko kai koyal ki
adaen bhi ghazab thin

main chashm-e-tasawwur se
un chundhiya dene wale raushniyon se

nazren bacha kar
is bazm-e-nashat mein jhank leti hun

ki
har shai apne asal ko dhundhti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close