kaha kis ne sitam ke din kabhi daim nahin rahte khuda ko manne wala wo shair jo mere andar nihan hai puchhta hai kaha kis ne ki istibdad ek zimni haqiqat hai kaha kis ne tashaddud barbariyat kam baqa kuchh sanehe se hain hamesha jo nahin rahte faqat nairang hain kuchh din rahenge aur phir dad-o-sitad insaf ki farma-rawai laut aaegi magar main dekhta hun har taraf bas ek manzar hai wasi-ul-qalb insan jo mere andar nihan hai phir ye kahta hai awamunnas sar ko niwdhae munh chhupae aajiz-o-miskin baithe hain sabhi khawas apni be-murawwat khud-numai mein ananiyat se aise dandanate phir rahe hain jaise malik hon jahan ke hua kya hai mere maula ki hum jo aajiz-o-miskin hain apni jabin-sai mein yun masruf hain itna bhi dil gurda nahin rakhte ki in firaun-zadon se ye puchhen kaun ho tum magar ye hausla kab hai kisi mein log to ranjur baithe hain ki jab qabren bulaengi to sar par khak odhenge