kabhi khul ke jab khilkhilati hai insha fazaon mein sargam bajati hai insha har ek lab pe titli bithati hai insha jhadi qahqahon ki lagati hai insha masarrat ki duniya basati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha kabhi maysha ko hansati hai insha kabhi maysha ko rulati hai insha kabhi pas us ko bulati hai insha kabhi dur us ko bhagati hai insha bahan se to kasrat karaati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha kahani sunati hai nani ko insha adaen dikhati hai nani ko insha masarrat dilati hai nani ko insha diwana banati hai nani ko insha jawani budhape mein lati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha kabhi dhund lati hai nanu ka chashma kabhi phenk aati hai nanu ka chashma kabhi khud lagati hai nanu ka chashma kahin se bhi pati hai nanu ka chashma to aawaz fauran lagati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha mobile par is tarah ungli ghumae ki jaise koi shakhs jadu chalae mobile ke parde pe hairat ugae hazaron tarah ke karishme dikhae dikha kar karishme rijhati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha kabhi koi khane ka manzar dikhae kabhi apni ungli se pizza banae kabhi to mazedar murgha pakae saladon se khane ki thaali sajae kabhi chae kafi pilati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha falak pas ja kar kabhi muskuraati kabhi chhedti to kabhi gudgudati mahak ko kabhi apna kartab dikhati kabhi baby nanna ko poem sunati har ek aadmi ko lubhati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha malahat mein is ki chamak hai ghazab ki sarape mein is ke lachak hai ghazab ki sadaon mein is ki khanak hai ghazab ki adaon mein is ki chahak hai ghazab ki ghazab ka nazara dikhati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha chaheti kisi ki kisi ki dulari kisi ko lage sare duniya se nyari kisi ko ho mahsus phulon se bhaari sunny ko to hai jaan-o-dil se bhi pyari bahut aamna ko bhi bhati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha mobile pe abba ko dekhe to dole chahak kar lapak kar zaban apni khole masarrat se labrez alfaz bole shahd kan mein apne abba ke ghole qatar tak mohabbat lutati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha mobile pe farhan khan ki zabani har ek raat sunti hai wo ek kahani kahani mein aati hai jab koi rani to bachchi se ban jati hai wo siyani bahut dad abba se pati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha kabhi apne ghode se bhaun bhaun karae kabhi sher chite ko bakri banae kabhi sar pe billi ke hathi bithae kabhi doremon ko bhi patti padhaye anokhe tamashe dikhati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha magar khane pine se ji hai churaati zara der mein munh mein luqma giraati bahut apni amman se kasrat karaati kabhi nach tigdi ka bhi wo nachati khilane mein pagal banati hai insha mere ghar ko jannat banati hai insha