darakhton se patte to har sal girte hain mitti mein milne ki khwahish liye magar un ko gin gin ke rakhta hai kaun safar ki thakan se sarasima patta jo girta hai lamhe ki diwar karke ubur bahut dur se aa ke leta hai mitti ki khushbu ki khushiyan magar zard rangon ke zewar se aarasta ye khizan ki dulhan jis ki qismat ke tare shab-o-roz girte hain dharti ki aaghosh par hain ye kis ke ishaare inhi zard rangon ki khushbu mein shayad nai khwahishon ke ufuq hain nae chand tare