khudai mere baatin mein utarti sard shamon ko kisi tabir ke marqad pe ek din chhod aaegi mere ashaar ki takrar se aajiz mere alfaz ke tukdon se apni aahani diwar aur shajre sajaegi khudai mujh se mujh ko chhin kar apna banane ki tamanna mein mere hathon se meri ungliyan kategi mehnat se aur us par fikr ka kalima sunaegi khudai jaanti hai gardanon par war karna jurm hai so ye meri aankhon mein apni putliyan bharne ki koshish mein adhure tajrabon ko aazmaegi mere pairon tale se chhin legi farsh mera aur mujhe qalin par chalna sikhaegi khudai mere kandhon par safar tabrik ka tai karti jaegi tasawwur ke makanon mein mere kirdar ka ek but banaegi khuli aankhon samaat se lade kanon fasahat se bhare honton ka ek khamosh but jise chhuna mana hoga