kab se in pahadon ke sine chir chir kar in ki ragen khoj khoj kar lal-o-jawahar nikal raha hun dheron ke dher laga raha hun ba-zahir bahut khush hun ki lal-o-jawahar ke ye ambar main ne lagae hain ba-baatin albatta udas hun ki wo lal jis ki mujhe talash hai hanuz meri dastaras se pare hai dar-asl wo pahad abhi tak meri aankh se ojhal hai jis mein wo rag hai jis rag mein is lal ke hone ki ummid hai