shikayat na karna agar ye zamana pukare tumhein aur sada meri aawaz ki gunj ho shikayat na karna agar log mud mud ke dekhen tumhein aur har shakl mein meri muskan tum ko dikhai bhi de aur sunai bhi de shikayat na karna agar har zaban par tumhaare bajae mera nam ho tumhein meri aankhon ki tarif karte hue sochna chahiye tha yahan sans lete hue khwab har aankh ke khwab jaise nahin hain yahan khwab aankhon se bah jaen to ashk bante nahin hain pighalte nahin hain tumhein mere hathon ki narmi ko mahsus karte hue bhulna to nahin chahiye tha ki ek hath mein ek khali waraq dusre mein qalam hai shikayat na karna agar khushnuma raushnai mein pahle waraq par tumhein log padh len