intizar

chehre pe did-ban the honton pe kuchh sarab
sanson mein ehtijaj tha nabzon mein inqalab

dil jaise suni sham ka suraj bujha bujha
aur jism jaise tir kaman par chadha hua

aasab ke tanaw se bajta tha ang ang
har rang-e-arzu mein mila tha lahu ka rang

sochon pe baadban tane the ghubar ke
pancham ke sur pe tar chadhe the sitar ke

ek raat mein hazar-ha manzar badal gae
lamhat phail phail ke sadiyon mein dhal gae

hire pe barg-e-gul ki nazakat ka war tha
kis shakhs ka na jaane mujhe intizar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close