main daryuza-gar

tum ne kabhi socha hai
tumhaari ye gahre sannaton mein dubi khamushi is daryuza-gar par kitni bhaari padti hai

wo baaten jo
tumhaare mizaj-e-mualla ki nafasaton pe giran guzarti hain mere liye kya mani rakhti hain

kya
kabhi tum ne pur-sukut samundar ke andar biphri un lahron ki aawaz suni hai jo kisi tufan ka pesh-khema hoti hain

main ne suni hai
mujh se puchho

tumhaari khamushi mein lipte kisi tufan ka siren kya jaante ho tum
main ne suna hai

tumhaare honton se gauhar-e-nayab ki tarah nikla ek ek lafz tumhaari ye thande mithe chashme jaisi baaten aur shirin andaz-e-sukhan sahra mein
chalte musafir ki tarah mere wajud ko sairab karta hai

main jo tumhaare dar ke aage apna daman phailae un nayab motiyon ko chunne ki chahat mein baithi rahti hun
jise kabhi to tum na-murad lauta dete ho kabhi bahut mehrban ho kar kuchh khairaat

us ke daman mein dal jate ho
jis ko main tumhaari galiyon ki daryuza-gar kisi qimti asase ki tarah

chun ke apni potli mein rakh leti hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close