aaya hamare des mein ek khush-nawa faqir aaya aur apni dhun mein ghazal-khwan guzar gaya sunsan rahen khalq se aabaad ho gain viran mai-kadon ka nasiba sanwar gaya thin chand hi nigahen jo us tak pahunch sakin par us ka git sab ke dilon mein utar gaya ab dur ja chuka hai wo shah-e-gada-numa aur phir se apne des ki rahen udas hain chand ek ko yaad hai koi us ki ada-e-khas do ek nigahen chand azizon ke pas hain par us ka git sab ke dilon mein muqim hai aur us ke lai se saikadon lazzat-shanas hain is git ke tamam mahasin hain la-zawal is ka wafur is ka kharosh is ka soz-o-saz ye git misal-e-shola-e-jawwala tund-o-tez is ki lapak se baad-e-fana ka jigar gudaz jaise charagh wahshat-e-sar-sar se be-khatar ya sham-e-bazm subh ki aamad se be-khabar
This is a great desh bhakti shayari image. True lovers of dadan faqeer shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this jhantu shayari tune.pk is truly a work of art. Please share if you liked this!!!