iqbaal ke mazar par

lahad mein so rahi hai aaj be-shak musht-e-khak us ki
magar garm-e-amal hai jagti hai jaan-e-pak us ki
wo ek fani bashar tha main ye bawar kar nahin sakta
bashar iqbaal ho jae to hargiz mar nahin sakta
ba-zer-e-saya-e-diwar-e-masjid hai jo aasuda
ye khaki jism hai sattar baras ka rah paimuda
ye khaki jism bhi us ka bahut hi besh-qimat tha
jise ham-jalwa samjhe the wo parda bhi ghanimat tha
use hum napte the le ke aankhon hi ka paimana
ghazal-khwan us ko jaana hum ne shair us ko gardana
faqat surat hi dekhi us ke mani hum nahin samjhe
na dekha rang-e-taswir aaine ko dil-nashin samjhe
hamein zof-e-basarat se kahan thi tab-e-nazzara
sikhae us ke parde ne hamein aadab-e-nazzara
ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saz kam samjhe
rahe sab gosh-bar-awaz lekin raaz kam samjhe
shikast-e-paikar-e-mahsus ne toda hijab aakhir
tulu-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aaftab aakhir
muqayyad ab nahin 'iqbaal' apne jism-e-fani mein
nahin wo band hail aaj dariya ki rawani mein
wajud-e-marg ki qael nahin thi zindagi us ki
taala allah ab dekhe koi paindagi us ki
jise hum murda samjhe zinda tar painda tar nikla
mah o khurshid se zarre ka dil tabinda tar nikla
abhi andaza ho sakta nahin us ki bulandi ka
abhi duniya ki aankhon par hai parda firqa-bandi ka
magar meri nigahon mein hain chehre un jawanon ke
jinhen 'iqbaal' ne bakhshe hain bazu qahar-manon ke
This is a great dil ki awaz shayari hindi. True lovers of shak mat karo shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore allah pak shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close