sone walon ko payam-e-subh-e-nau deti hui khwab ki duniya uthi angdaiyan leti hui matla-e-mashriq pe chamka aaftab-e-shairi har kiran jis ki bani tar-e-rabab-e-shairi dil pe tha jo dagh-e-ghaflat us ko aahen dho gain khun-e-mashriq mein hazaron bijliyan hal ho gain zabt ke zakhm-e-nihan fariyaad se bharne lage yani bande bhi khuda se guftugu karne lage aariz-e-pur-nur jhalka gesu-e-shab-rang se ju-e-bar-e-saz-e-dil nikli sukut-e-sang se ashk-e-khunin mein nazar aai tabassum ki jhalak naghma-e-bulbul bani khamosh phulon ki mahak karwan badhne laga tezi se manzil ki taraf kaenat-e-dard khud khinchne lagi dil ki taraf dahr ke dhaare pe tufani hawa sahne lagi naw mashriq ki kinare ki taraf bahne lagi jag utha mashriq dil-e-iqbaal ki dhadkan gawah wah ka mahshar liye aati hai jis ki lab pe aah qalb-e-shair se sadaqat le ke nikli shairi sach kaha hai shairi juzwist az paighambari