pyasa kawwa

ek kawwa tha behad pyasa
pani ko wo dhund raha tha

chaaron or nazar jo dali
dhup thi aur jangal tha khali

ud kar niche upar dekha
phir ja unchi shakh pe baitha

chaaron or nazar daudai
dur ek matka diya dikhai

khushi khushi us or ko bhaga
ud kar us ja wo ja pahuncha

matke ke andar jab jhanka
tah mein thoda pani dekha

chonch na us ki us ja pahunchi
wyakul ho phir baat ye sochi

matlab to tha pani pana
kawwa bhi tha bada syana

sath pade kankar jo dekhe
socha pani mein ye phenke

chonch se ek ek kankar pakda
matke mein phir us ko dala

dhire dhire pani ubhra
matke ki gardan tak pahuncha

kawwe ne phir chonch badhai
aur pani se pyas bujhai

pyare pyare achchhe bachcho
kawwe ki tum baat ko socho

mehnat se tum ji na churao
mehnat karke tum phal pao

jis ne dhunda us ne paya
jis ne boya us ne khaya

aisa kisi ka sachcha bayan hai
chah jahan hai rah wahan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close