wo mai-kada-e-husn pe umda hua baadal barsat ki raaton mein wo bajta hua chhagal rangin shabon mein wo teri chhed musalsal har samt wo ruman ke bahte hue dhaare kya ho gae rangin wo lamhat hamare wo nur ka tufan uthati hui raaten khwabida tamanna ko jagati hui raaten wo kaif mein dubi hui gati hui raaten wo charkh-e-mohabbat se baraste hue tare kya ho gae rangin wo lamhat hamare doharao phir afsana-e-aghaz-e-mohabbat phir gardish-e-saghar se chhide saz-e-mohabbat phir raaz na aapas mein rahe raaz-e-mohabbat phir aao chalen sair ko dariya ke kinare kya ho gae rangin wo lamhat hamare har-gam pe wo barq giraate hue chalna wo be-khud-o-madhosh banae hue chalna wo sharm se aanchal ko dabaate hue chalna chitwan se ayan husn ke masum ishaare kya ho gae rangin wo lamhat hamare phir sari faza raham ki basti nazar aae har shai mein samai hui masti nazar aae har samt mohabbat hi barasti nazar aae kyon chhup gae nazron se wo mahbub nazzare kya ho gae rangin wo lamhat hamare