haweli ki diwaron pe kai chadh aai sarma ke suraj ko gahan kha gaya purane darwazon ko dimak aur mujhe tumhaari khamoshi ne chat liya mohabbat se khali zindagi ka koi rang nahin hota tum use koi bhi libas pahna sakte ho us bewa ka bhi jo sati hote hote rah gai us matami ka bhi jo ziyaada khun bahne se halak ho gaya dhup mein barasta baadal june ka chand aur yak-tarfa mohabbat barish mein bahte un aansuon ki tarah be-zaiqa hote hain jin ka lams rukhsaron ko bhi mahsus nahin hota tum agle safar pe niklo to kisi jazire ki khamushi mein un raegan jati lahron ko ginna jo tumhaare panw na chhu saken ye nazmen bhi un lahron jaisi hain jo kisi patthar se takraate takraate meri poron ka sartan ban gain