khak par ek bund lapki bund jam kar lothda is lothde mein haddiyan phir haddiyon par mas aaya mas jis par naqsh ubhre naqsh ko jumbish mili aur khamushi ki kokh khali ho gai chikh pahli guftugu thi tham gai to is se phuta qahqaha jab thak ke tuta qahqaha tab aakhiri aawaz siski jumbishen sakit huin aur qabr ki khamoshiyon mein naqsh pighle mas utra haddiyan uryan huin aur munhadim lothda gal sad ke phir se bund tha aur bund dharti kha gai hae mere ibtila ki intiha ibtida tak aa gai