budhi dehli ke khandaron mein basti ne angdai li hai mazi ke is virane mein rang-birange phul khile hain purab pachchhim utar dakhkhin ek markaz par aan mile hain lekin is basti ke basi ik-duje se begane hain sab matlab ke diwane hain babu logon ki ye basti kaghaz ke phulon ka chaman hai rang-birange in phulon mein bu-e-mohabbat bu-e-nafrat bu-e-rifaqat bu-e-raqabat kuchh bhi nahin hai kuchh bhi nahin hai patthar hain in ke pahlu mein mar mitne ki tadap nahin hai jine ka haijaan nahin hai waqt ka ifrit apni pith pe in ko lade ghum raha hai ghar se daftar daftar se ghar daftar se ghar ghar se daftar