yahan ab ek tara zard tara bhi nahin baqi yahan ab aasman ke chithadon ki phadphadahat bhi nahin baqi yahan par sare suraj tare suraj tairte aflak se gir kar kisi patal mein gum hain yahan ab sare sayyaron ki gardish ruk gai hai yahan ab raushni hai aur na aawazon ki larzish hai na jismon mein hi harakat hai yahan par ab faqat ek khamushi ki phadphadahat hai