kahan hain aankhen main jin mein tira-shabi ka tiryaq aasman par khile sitaron mein dhundta tha main dekhta tha jo had-e-idrak mein nahin tha jo dur ho kar bhi mere maruz mein kahin tha main apni poron se pura chehra tatol ke khud se puchhta hun kahan hain honton ke surkh kone kisi ke rukhsar ki amawas ki raat mein jo sitara ban ke tulu hote jo muskuraate, to phul jhadte jo harf do harf ek kahani ka haar bante jo munkashif ho ke raushni ka libas hote kahan hai kanon ki hairati ka sharab-khana jahan pe aawaz bahte chashmon ki tazgi ka suragh le kar meri samaat ka rizq banti main kis se puchhun wo jis se khilte the barishon mein mahakti mitti ki khush-buon ke tamam mafhum ab, kahan hai main kab se be-khal-o-khat pada hun mera koi saya hi nahin hai sab aaine jhut bolte hain kisi ke chehre ko mera chehra dikha rahe hain