1 kallan ki khud-kalami main byah rachaungi kuchh rupae ho jaen main kachra achchhi tarah saf kar sakti hun bartan manj leti hun jhadan bhi chala leti hun mujhe khana bahut achchha pakana aata hai main kothiyon mein kaam karungi kuchh rupae ho jaen to apna byah rachaungi 2 kllan pochha lagati hai to pindliyan nangi ho jati hain kabhi chaak sambhaalti hai to dupatta gir jata hai sidhiyan utarne mein khub ehtiyat karti hai magar chhatiyan to chhalakti hain pochha lagane mein khub zor lagta hai lekin kulhe hain ki bhaari hote jate hain 3 kallan ka apne bikhre hue baalon se kalam ye cockroach gandagi ko kyun pasand karte hain main ne use rokne ke bahut jatan kiye magar wo nali mein utar gaya aur kuchh der baad mujh se dur baith kar apne hasse chatne laga 4 ab kallan daj khub bana sakti hai lekin use suhag raat ka intizar nahin