tumhaara ek message whatsapp par muddaton ke baad aaya tha ye likkha tha ki busy tha main so reply na kar paya zara us waqt kuchh sanson ki tughyani si barpa thi mujhe kuchh dhadkanon ko bhi zara tartib dena tha mobile screen us waqt dhundli ho gai thi kuchh busy tha main so reply na kar paya so sorry ai meri sohni suno tum ne ye likkha tha ki main bilkul thik hun sohni tumhaari yaad hi aati nahin mujh ko so bilkul thik rahta hun magar han jab zara main sans leta hun zara jab dil dhadakta hai to phir tum yaad aati ho magar is ke alawa thik rahta hun zara sar mein tanaw ki si kaifiyyat to rahti hai ragon mein bhi khinchao sa zara rahta hai ab aksar magar baqi sabhi kuchh thik hai sohni zara jab sans leta hun to andar kuchh chubhan si hone lagti hai kahin kuchh zakhm sa hoga magar baqi sabhi kuchh thik hai sohni zara bas dil dhadakta hai to sine mein kisi ki siskiyan mujh ko sunai dene lagti hain magar baqi sabhi kuchh thik hai sohni are han kal main aaine ke aage jab zara aaya wahan ek ajnabi chehra nazar aaya bahut hi zard sa chehra aur us ki aankh ke halqe mein gaddhe se nazar aae ajab wahshat tapakti thi wahan se bhag aaya main magar baqi sabhi kuchh thik hai sohni suno phir bhi main kal ek doctor se ehtiyatan mil bhi aaya hun wo kahte hain ki ghabrane ki koi baat bilkul bhi nahin is mein zara bas sans tham jae zara dhadkan bhi jam jae to phir sab kuchh hamesha ke liye hi thik ho jae