kash main hota ek parinda kash main hota ek parinda jagah jagah ki sair ko jata sab mulkon ki khabar bhi lata jab thak jata tab main gata gate gate main so jata kash main hota ek parinda kale baadal jab chha jate gad gad gad karte aate pani ka paigham sunate tab main mithi tan udata kash main hota ek parinda apne ko aazad main pa kar dana dunka sab kuchh kha kar nile se aakash mein ja kar dhire dhire main mandlata kash main hota ek parinda gad gad gad gad baadal aate rim-jhim rim-jhim barsa late umda sa ek saz milate tab main git suhana gata kash main hota ek parinda ram dhanak ya qaus-e-quzah mein prithwi se aakash ki rah mein jhula jo hai ek faza mein 'kaukab' us mein jhulne jata kash main hota ek parinda