bachcha laltain ki raushni mein padh raha hai budha apni duaen bant raha hai mujhe tumhaare ilzam par apni safai pesh karna hai koi kahta hai alfaz meri giraft se bahar hain soch meri giraft se bahar hai dil meri giraft se bahar hai koi kahta hai meri nigahen diwani malum hoti hain apni safai pesh karna mere bas se bahar hai mujh par gahre samundar mein tairne ka ilzam hai mujh par ghane jangal mein rasta dhundne ka ilzam hai mujh par kadi dhup mein jaan dene ka ilzam hai bachcha aaj ka sabaq padh chuka hai budha apni duaen bant chuka hai tum ilzam laga kar kis intizar mein ho bachche ki laltain bujhai nahin ja sakti budhe ki duaen churai nahin ja saktin main apne alfaz apni jaan ke ewaz bech nahin sakti