ruthna tha kise manana tha waqt ke sath gungunana tha lahr dariya ke sath rahti hai bijli baadal mein hai ajab rishta sans ki dor ban ke jism ke sath ruh har lamha hai rawani mein khelti hai wo aag pani mein waqt ki baat hai alag jaanan husn saughat hai alag jaanan phul se ruthti hai kab khushbu raat se ruthta hai kab jugnu nain se dur kab raha jadu hanste hanste nikal gae aansu yun to har shai ko hai fana yani rah gaya apna muddaa yani is tarah se koi nahin jata jis tarah ruth kar gae jaanan