zafrani shabih thi us ki main bhi tha sabza-e-bahaar ka rang yun hui tez qurbaton ki dhup rup bahrup e'tibar ka rang bich mein aa gai khizan aisi barg-e-jazbaat ho gae pile pad gai ishq par ajab uftad phir naya mausam-e-siyasat tha khinch gai phir fasil-e-tafriqat dur ka dhol jashn-e-taqribaat qarz ki tarah husn ki khairaat rah gae hath kasa-e-shubhat ek naqsha hai be-panahi ka aur is par inayaton ki panah ishq tha pesha-e-junun pahle tez tha tesha-e-fusun pahle ab to ye mangta hai khun pahle badle badle hain waqt aur haalat hukmaran har taraf hue sadmat shaghl-e-dauran hai sirf shah aur mat dhundhta phir raha hun rah-e-najat khwab par yun zawal aaya hai qurbaton par sawal aaya hai kya hua hum bhi chal na pae sath ek khalish rah gai magar jaanan