sehan mein phaili hai talkh-tar raat ki rani ki mahak kamra-hairat mein khwab ki shahzadi baal bikhrae mere sine par kab se ek khwab-e-abad mein gum hai lams ki aankhon mein qaus-dar-qaus tilismat ajab zinda hain jhad chuka hai lekin jism ki shakh se chehre ka phul zist ke jauhad mein khwahish-e-dariya ke ek amr lamhe ko sochne ki ye saza kuchh kam hai ki jali harfon mein likh chuka hai koi tira-o-tar azal ke kisi pas-e-manzar mein jashn-e-nauroz pe mamul ki ek maut hamari khatir