mere baalon mein chandi khil rahi hai mere lahje mein mitha ras ghula hai tumhaara nam aate hi magar ab bhi dil-e-betab waise hi dhadakta hai kabhi jaise tumhaare qurb ke mausam mere chhote se kamre mein usi surat mahakte the ajab kuchh rang bharte the wo mausam sare mausam aaj bhi is dal ke ek chhote se kone mein usi surat mahakte hain ajab kuchh rang bharte hain kabhi aao zara dekho mere baalon mein chandi khil rahi hai mere lahje mein mitha ras ghula hai