jago aur jagao

josh-o-amal dikhlao sab ko
ghaflat se chaunkao sab ko

uttho aur uthao sab ko
jago aur jagao sab ko

waqt gaya khwab-e-rahat ka
waqt hai ab azm-o-himmat ka

bas ab hosh mein lao sab ko
jago aur jagao sab ko

sharqi gharbi gore kale
jag uthe sab sone wale

tum bhi ab chaunkao sab ko
jago aur jagao sab ko

dahr mein hai bedari har-su
mulk mein hai tayyari har-su

tum bhi josh dilao sab ko
jago aur jagao sab ko

qaum ki khidmat farz hai tum par
mulk ka ye ek qarz hai tum par

gur khidmat ke batao sab ko
jago aur jagao sab ko

aapas ke jhagde tai kar do
prem aur prit dilon mein bhar do

baham gale milao sab ko
jago aur jagao sab ko

shaikh ki hai na mughal ki pursish
ab hai sirf amal ki pursish

kuchh kar ke dikhlao sab ko
jago aur jagao sab ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close