pamal-e-faqr-o-zillat hain izz-o-shan wale said-e-gham-o-alam hain tir-o-kaman wale benam-o-be-nishan hain nam-o-nishan wale be-tab-o-be-tawan hain tab-o-tawan wale ab un pe rahm farma o aasman wale hain sakht mushkilon mein hindostan wale arbab-e-daulat-o-zar kangal ho gae sab sannaa jis qadar the hammal ho gae sab faqr-o-fana ke hathon behaal ho gae sab barbaad ho gae sab pamal ho gae sab ab in pe rahm farma o aasman wale hain sakht mushkilon mein hindostan wale andaz din ke badle atwar shab ke badle gham hi khushi ke badle kulfat tarab ke badle charkh-e-kamina-khu ne tewar ghazab ke badle kya jaaniye liye hain zalim ne kab ke badle ab un pe rahm farma o aasman wale hain sakht mushkilon mein hindostan wale jo takht ke makin the ab boriya-nashin hain jo barsar-e-falak the wo ab tah-e-zamin hain ahl-e-kamal-o-danish ghamnak hain hazin hain hain is tarah jahan mein goya kahin nahin hain ab in pe rahm farma o aasman wale hain sakht mushkilon mein hindostan wale qaid-e-shadid mein hain aazad in ko kar de barbaad-o-muntashir hain aabaad in ko kar de azm-o-amal mein goya faulad in ko kar de masrur in ko kar de dil-shad in ko kar de ab in pe rahm farma o aasman wale hain sakht mushkilon mein hindostan wale