raat ke farsh par maut ki aahaten phir koi dar khula kaun is ghar ke pahre pe mamur tha kis ke baalon ki lat kis ke kanon ke dur kis ke hathon ka zar, surkh dahliz par qasidon ko mila? koi pahre pe ho to gawahi mile ye shikasta shajar ye shikasta shajar jis ke panw mein khud apne sae ki mauhum zanjir hai ye shikasta shajar to muhafiz nahin ye shikasta shajar to sipahi nahin shab se darta hun main ek taswir-e-be-rang hai samne jis se darta hun main ek surat ki jis ke khad-o-khal ki meri subh-e-hunar se shanasai hai us se darta hun main ek shoala ki ab tak khas-e-jaan mein tha, us ka sarkash sharar kaghazon mein, makanon mein, baghon mein hai us ki manus hiddat se darta hun main ek aawaz kohsar-e-tafriq par jo saf-ara hain wo apne bhai nahin is sada ru-ba-sahra se darta hun main shab se darta hun main