ho to sakta hai kisi dew ke jaise main bhi le udun tujh ko kahin dur ki duniyaon mein dil ki diwaron mein lau teri muqayyad kar ke tishna aashaon ke qile ko munawwar kar lun khwab-e-derina ki tabir bana kar tujh ko apni aankhon ke kiwadon mein muqaffal kar lun sari duniya ki nigahon se chhupa kar tujh ko le udun rengte bal khate hue raston par jo pahadon ke badan kat ke upar ki taraf sabz kai se ate mahlon pe ja rukte hain khud-gharaz ho ke tujhe qaid mein rakkhun aise zi-nafas koi na ho chaar-chfere tere apni tanhai ki wahshat ko mitane ke liye dhund pae na kisi ko tu siwae mere sirf ek main hun aur ek tu ho rifaqat ke liye ma-siwa mere na ho koi mohabbat ke liye lekin ai phul-sifat dekh ke surat teri sochta hun ki agar bagh-e-jahan se tujh ko tod bhi lunga to tu kaise jiyegi aakhir rang-ha-rang mahakte hue phulon se pare dur uftada pur-asrar kharabe mein qayam dard ke phailte sae mein kahan mumkin hai tujh tar-o-taza ka khush rahna chatakna khilna meri viran-sarae mein kahan mumkin hai