kuchh intizar aur karo sabr-e-nagawar aur karo kuchh apne saron ko qalam gareban ko chaak aur karo apne andar ki garmi-e-khun sambhaal kar rakkho andheron mein sakht pahron mein zara ye jaur aur saho faza palatne mein jaur thamne mein waqt hai shayad subh hone mein waqt hai ya sirf aisa lagta hai dard sine mein uth uth ke nakaamiyon ko rota hai sans barf ban kar ke dhamniyon mein bahti hai apni qismat pe haalat pe dam nikalta hai wo ghadi hai ki aao sochen ki kyun hua aisa ye bhi mumkin hai ki faza palat na sake subh jo hoti dikhti hai kabhi bhi ho na sake hamari maut se pahle hamari surat badal na sake hina jo pattharon pe khilti thi khil na sake agar ye yun hai to kya us ki zimmedari apni hai hum dewta ka dano ka farq bhul chuke hain kadi dawa ka mithe zahr ka farq bhul chuke hain hum bhul chuke hain dagha ke muskuraate chehre ko hum apni zat ke tahzib-o-sanskar bhul chuke hain hamin jo hum nahin hain to ghairon se kya gila karna utho ki khud ko pahchano apna hausla jodo ye salakhen ye bediyan ye hathkadi todo ye buzdili ye nakaamiyan ye nal chhodo utho sab sath mil ke yalghaar chhedo zamana dekhna tum ko phir se salam thokega phir us ke ba'd subh khud-ba-khud tulua hogi ye duniya tumhaare samne phir se nigun hogi faza mein chaar su phir tairne lagegi khush-haali aur nae sire se tarikh-e-hind phir shurua hogi abhi bhi waqt hai utho kar-e-nau ki ibtida kar den